Published: Dilo'n Ka Rishta Book
Dilo'n Ka Rishta — Ye Kitab Daur-E-Haazir Mein Kaafi Tezi Se Sar Utha Rahe Fitne, Naam-Nihaad La-Maulaiyat Ke Radd Mein Likhi Gayi Hai. Wo La-Maulaiyat Jo Sunniyon Ke Beech Sunniyat Ka Liwaada Odh Kar Hamari Bholi-Bhaali Sunni Awaam Ke Imaan Par Daka Dal Rahi Hai Aur Unke Dilon Mein Hubbe Ahle Bait Ki Aadh Mein Bughze Sahaba Ghol Rahi Hai.
Daur-E-Haazir Mein Is Badhte Hue Fitne Ko Madde-Nazar Rakhte Hue, Iske Khatme Ke Liye Bahut Aasaan Lafzon Mein Is Kitab Ko Shaya Kiya Gaya Hai, Jise Har Khaas-O-Aam Aasani Se Padh Sake.
Aur Ye Ek Aisi Kitab Hai Jisme Ahle Bait-E-At'haar Aur Sahaba-E-Kiraam Rizwanullahi Ta'ala Alaihim Ajmaeen Ke Darmiyaan Mohabbat, Aqeedat Aur Rishte-Daariyoñ Ka Tazkira Kiya Gaya Hai. Yeh Kitab In Muqaddas Hastiyoñ Ke Aapas Ke Talluqat Aur Bahami Mohabbat Ko Samajhne Ka Ek Zariya Hai.
 Started on 27122022/masjid (1).png)
 Started on 27122022/WhatsApp Image 2026-02-09 at 7.55.03 PM.jpeg)
 Started on 27122022/WhatsApp Image 2026-02-09 at 7.55.04 PM.jpeg)
 Started on 27122022/WhatsApp Image 2026-02-09 at 7.55.05 PM.jpeg)

.png)




